Thursday, 16 June 2011

Dess Ke Logon Ko EID MUBARAK


Jis Dess Ke Kuche Kuche Main Aflaas Awara Phirti Ho,
Jo Dharti Bhuk Ugalti Ho Aur Dukh Aflaak Se Girta Ho,
Jahan Bhuke Nange Bache Bhi, Aahon Par Paale Jate Hon,
Jahan Sachai Ke Mujrim Bhi Zindaan Main Daale Jate Hon,
Us Dess Ki Matti Barson Se Yeh Rogg Jigar Pe Sehti Hai,
Aur Apne Dess Ke Logon Ko EID MUBARAK Kehti Hai.. !!

No comments:

Post a Comment